notícias musicais

top 13 artistas

top 13 musicas

Confira a Letra Man Saunp Diya Anjaane Mein

Lata Mangeshkar

Man Saunp Diya Anjaane Mein

man saunp diya anjaane mein -3
anjaane mein, anjaane mein - 2

nainon ne daras ras kiya paan
kar diya palak mein hriday daan - 2
ek jhalak mein baandhe nainon se praan - 2
kitana sukh hai bandh jaane mein - 2
man saunp diya

aankhon ko kya ho gaya aaj
hai path mein ataki bina kaaj - 2
pag pag par inako baraje laaj - 2
ye aati nahin bahalaane mein - 2
man saunp diya

Tracker